Talwaron pe sar vaar diye
Angaron mein jism jalaya hai
Tab jaake ke kahin humne sar pe
Yeh kesari rang sajaaya hai
Ae meri zameen afsoss nahi
Jo tere liye sau dard sahe
Mehfooz rahe teri aan sada
Chaahe jaan meri yeh rahe na rahe
Ae meri zameen mehboob meri
Meri nas nas mein tera ishq bahe
Pheeka na pade kabhi rang tera
Jismon se nikal ke khoon kahe
Teri mitti mein mill jaawaan
Gul banke main khill jaawaan
Itni c hai dil ki aarzoo
Teri nadiyon mein beh jaawaan
Teri kheton mein lahraawaan
Itni c hai dil ki aarzoo
Wo o. o..
Sarson se bhare khalihaan mere
Jahan jhoom ke bhagra paa na saka
Aabad rahe woh gaaon mera
Jahan laut ke wapas jaa na saka
O watna ve, mere watna ve
Tera mera pyar nirala tha
Kurbaan hua teri asmat pe
Main kitna naseebon wala tha
Teri mitti mein mill jaawaan
Gul banke main khill jaawaan
Itni c hai dil ki aarzoo
Teri nadiyon mein beh jaawaan
Teri kheton mein lahraawaan
Itni c hai dil ki aarzoo
O heer meri tu hasti rahe
Teri aankh ghadi bhar nam na ho
Main marta tha jis mukhde pe
Kabhi uska ujaala kam na ho
O maayi meri kya fiqr tujhe
Kyun aankh se dariya behta hai
Tu kehti thi tera chaand hun main
Aur chaand hamesha rehta hai
Teri mitti mein mill jaawaan
Gul banke main khill jaawaan
Itni c hai dil ki aarzoo
Teri nadiyon mein beh jaawaan
Teri kheton mein lahraawaan
Itni c hai dil ki aarzoo